Shalimar Garden History In Urdu Shalimar Bagh Srinagar and Delhi

Shalimar Garden Information In Urdu: Mughal fan-e-tameer aur un ke nazriya baghbani ki shahkar tasweer hai. Shalimar Bagh built by? Is bagh ko mughal badshah Shah Jahan ne tameer karwaya tha. Behtareen aur benazir zauq jamal ke hamil badshah ne bohat si aali shan emaratain tameer karwayein jin mein Shalamar Bagh ki ahmiyat se inkar nahin kiya ja sakta. Ye bagh 4 deewari mein ghira hua hai jis mein sargoshiyan karti hoi pani ki lehrain hain aur pursakon aur sakan sheeshay ki tarah chamaktay hozon ki arasta sathain hain.
Shalimar Garden Lahore Picture
Pani chalkatay fawaray, gungunatay jharnay, jhoomtay saru aur gulabon ki chariyan aur mausam garma mein istimal hone wali places par dhoondh (fog) ka sama paida karne wale pani ke fawaray, khubsurat ghaas ke numayan takhtay aur khush kun fiza. Shalamar Bagh ko Shah Jahan ke hukam par us ke aik ameer ne 1 saal ki qaleel mudat mein tameer karwaya. Is ki tameer 22 july 1441 mein shuru hoi aur is ki takmeel 31 october 1642 mein hoi. Is khubsurat bagh ko serab karne ke liye darya-e-ravi se raj pur ke muqam se aik nehar nikali gyi.

Shalimar Garden ko 3 takhton par banaya gya hai jis mein se har takhta dusre se buland hai. Bagh ka area 16 acer hai. Bagh ki char deewari ke charon konon par sang surkh se banay char khubsurat burj hain. Bagh ke 3 takhton mein se aik ka naam Farah Bakhsh hai, is takhtay par khushbudar phool, bailain aur jhariyan ugai jati hain. Ye takhta shahi khandan ke liye tha. Yani shahi khandan ki baigmaat aur khawateen yahan sair ke liye aya karti thien. Is se nechay takhtay ka naam Faiz Bakhsh hai. Is par phaldar darakht lagye gye thay. Donon takhton par taqreeban har mausam mein har tarah ke phool lagtey thay. Is se nechay takhtay ka naam Hayat Bakhsh tha is par ghanay aur saya dar darakht lagye gye thay. Shalamar bagh mein kayi khubsurat emaraat hain, In dil pazeer emaraat mein barah dariyan, deewan-e-khas, deewan-e-aam, khawab gah aur pur sakon dakhli darwaze shamil hain.
Is ke ilawa Shalamar ke naam se 2 aur baghaat bhi thay. Jis mein se aik Srinagar (Kashmir) aur dusra Delhi mein tha. Ab sirf Srinagar aur Lahore ke Shalamar Bagh baqi hain. Is bagh ki historical importance aur romantic beauty ki wajah se Unesco ne international saqafati wirsa mein shamil kiya hai.