Onion Benefits In Urdu Pyaz Ke Faide For Hair & Skin In Hindi

Onion Benefits For Hair In Urdu: Pyaz ka taluq Allium sabziyon ke khandan se hai. Is baat ke shawahid dekhe gye hain ke pyaz mein paye jane wale sulphur compounds mein khoon ki phatkiyon ko tehleel karne ki salahiat hoti hai jis ki wajah se khoon mein shamil platelets ke khulyat baham chipkanay se mehfooz rehtay hain. Is baat ke bhi shawahid mojood mojood hain ke ke onion mein gandhak ke markabat khoon mein cholesterol ki satah ko kam karte hain aur khoon ke surkh khulyat ki karkardagi behtar banate hain. Jo log apne khanon mein onion ko shamil rakhte hain, us mein heart attack ka khatra kam hota hai. Onion mein Flavonoids ki qabil zikar maqdar in researches ki taeed karti hai.
Onion Benefits In Hindi

Bone Aur Tissues Ke Liye Mufeed: Jaezon mein dekha gya hai ke pyaz se hadiyon ko thos banane mein madad milti hai. Is se khas tor par un khawateen ko faida ho sakta hai jo hadiyon ke bhar bharay pan ke khatre se do char hain. Ye bhi sabit shuda hai ke bazurg khawateen jo maheenay mein 1 baar pyaz kha rahi thien unhain is se zayada faida nahin hua. Onion mein shamil gandhak ki qabil zikar maqdar hadiyon se mutsaltissues ko bhi faida pohanchati hai kyoun ke un ki tashkeel ke liye bhi gandhak ki zaroorat hai.

Cancer Se Tahafuz: Pyaz mukhtalif sartanon ke lahaq hone ka khatra ghata deti hai. Ye faida us waqt bhi hasil hota hai jub aap bohat zayada na sahi kam maqdar mein hi isay istimal karain. bari aant, halq ke cancer mein pyaz ke fawaid zayada mehsoos kiye gye hain. Cancer se bachao ke liye behtar ye hai ke aap jo bhi dish khanay ke liye banayain us mein kam az kam aik puri pyaz kaat kar shamil karain aur khuch nahin tou salad ka lazmi hisa banayain.

Sozish Khatam Kare: Ye sabzi sozish khatam karne ki bay misal salahiyat rakhti hai. Pyaz mein shamil gandhak ke makhsoos salmay Macrophages ki sargarmiyon ko rok dete hain. Ye khas kisam ke khoon ke safaid khulyat hote hain jo hamare jismani madafati nazam mein aham kardar ada karte hain. In ki aik difai sargarmi ye hoti hai ke woh sozish paida karne wale awamil ko ghair mosar karte hain. Pyaz mein mojood antioxidants sozish khatam karte hain.

More Red And White Onion Health Benefits: Sehat Ke Degar Fawaid: Pyaz mein ye salahiyat bhi hoti hai ke woh khoon mein shakar ki maqdar ko matwazan rakhe aur jaraseemi infection se tahafuz faraham kare. Baaz jaezon se maloom hua hai ke onion kaat kar agar dair tak isi tarah rehnay diya jaye aur baad mein isay istemal kiya jaye tou is se sehat ko kam faida pohanchta hai. Pyaz usi waqt kati jaye jub usay kisi khanay mein fori toor par shamil karna ho ya salad banana ho. Isi tarah pyaz ko dair tak bhonnay se bhi is ki tibi afadiat agar khatam nahin tou kam zaroor ho jati hai.