Kheera Benefits in Urdu Cucumber Kheera ke Faide Kheera Recipes

Kheera Benefits In Urdu - Kheera Ke Faide: Dunya bhar mein jitni bhi sabziyan kasht ki jati hain, un mein kheera 4th number par hai aur ye aap ki health ko behtar rakhne mein numayan kardar ada karta hai. Isay baaz auqat  super food ke hawalay se bhi pehchana jata hai. Kheera ke faide beshumar hain, yahan par khuch fawaid ke baray mein bataya ja raha hai.
Kheera jism mein pani ki kami ko pura karta hai. Agar aap itnay masroof rehtay hain ke aap ko pani peenay ki bhi fursat nahin hoti tou thanda meetha kheera kha liya karain jis mein 90% pani hota hai, is se jism mein pani ki talafi ho jaye gi.

Benefits of Cucumber In Urdu
Kheera jism ke andar aur bahir ki garmi ko marta hai. Agar taizabiat ke baes aap ke seenay mein jalan ho rahi hai tou kheera is ka madawa kar sakta hai. Cucumber khane ka faida ye bhi hai ke agar teez dhoop aur lo ki wajah se skin red ho rahi hai aur jalan naqabil bardasht ho chuki hai tou kheeray ko kuchal kar jism par mal lain, thandak ka ehsas ho ga.

Kheera khane se kidney ki pathri bhi tehleel ho kar bahir nikal jati hai. Is mein taqreeban woh tamam zaroori vitamins mojood hain jin ki jism ko daily zaroorat hoti hai. Is mein vitamins A, B aur C madafati nazaam ko tawana karte hain, aap ko chaq-o-choband rakhte hain aur tawanai se bhar dete hain.

Kheeray mein shamil madniyat jild ko jawan rakhti hain, Is se khana hazam karne aur wazan kam karne mein madad milti hai is mein pani bohat hota hai aur hararay na hone ke barabar hote hain is liye kheera un logon ke liye ideal diet hai jo apna weight loss karna chahte hain.

Cucumber eyes ko fresh karta hai. Computer ke samne kaam karne se jub ankhain dukhnain lagein tou thanday kheeray ki gol qashain kaat kar eyes band kar ke apni palkon par rakh lain. Is tarah kheeray ki dafa sozish khasosiyat ki wajah se na sirf eyes ki thakawat khatam ho gi balkeh ankhon ke nechay jo choti choti theeliyan si ban jati hain aur ankhain soji hoi lagti hain, ye shikayatain bhi rafta rafta door ho jayain gi.

Kheeray mein cancer ka muqabla karne ki bhi salahiyat hoti hai. Kheera munh ke amraz se bhi mehfooz rakhta hai. Masorhay agar sojay hue hain aur un se khoon nikalta hai tou kheera ka juice istemal karain.

Kheera Recipes: Agar Kheera recipe ki baat ki jaye touApne soup aur salad mein dil khol kar kheera istemal karain. Agar simple kheera aap ko pasand nahin hai tou phir kam chiknai wale dahi mein is ki lambi qashain dabo kar khaya karain. Kheera chabanay se aap ke jabray ki bhi warzish ho jati hai aur is mein jo reshay hote hain, un se khana hazam karne mein madad milti hai. Jin logon ko aksar qabz ki shikayat hoti hai, woh rozana kheera kha kar azmayain.