HairStyles in Pakistan Bridal Jora Hairstyle for Barat Mehndi Walima


Bridal Hairstyle In Pakistan in Urdu: Wedding Jora Style In Pakistan: Jora Kay Nat Naye Style: Garmi ka mousam aa chuka hai aur darja hararat hai ke roz roz bharta ja raha hai aisay mein agar kisi tqreeb mein jana par jaye tou khulya howay balon se intihai uljhan mehsoos hoti hai. Lihaza khawateen khasosan is mausam mein jora banane ko tarjih deti hain. Jora bananay ka fashion sadiyon purana hai. Kaha jata hai is ki ibtida Unan sa hoi aur Unan girls ne sub se phele baal bananay ke liye is tarika ko apnaya. Baresagheer Pak-o-Hind ki khawateen mein bhi ye andaz tawel arsa se maqbool chala aa raha hai. Ibtida mein jora ko aik sada bun ki shakel mein gardan ke uper banda jata tha lekin rafta rafta khawateen ne is ke nat naye andaz bana liye. Aaj jora bananay ke beshumar style fashion mein in hain aur khawateen ke husn ma izafa ka bhaes hai. Jora style banane ka tarika bahat sada hai. Is ke liye aam tor par balon ko poni ki shakal mein banda jata ha phir un ko rool kar ke pins ki madad sa set kiya jata ha. Aap chahain tou tamam balon ko samait kar jora ki sorat mein bandh dain aur kuch zulfon ko khula chorr dain tou ye andaz bi acha lagta hai. Jora har shakel o surat ki khawaten pa sajta hai, khwah un ke chehre ki sakht kesi hi kyoun na ho. Isi liye ye har umar aur har khitay ki khawateen mein maqbool hai. Yahan aap ke liye bator khas jora banane ke style paish kiye ja rahe hain. Aap yaqeenan in se istafada kar sakain gi aur shadi ki taqreeb ke moqa par in mein se koi style select kar ke har aik se sataesh hasil kar sakain gi.
Girls Hairstyles 2015 in Pakistan
1.High Bun Style 1: Is style ke liye pehle balon ko kas kar unchi poni tale ki shakal mein bandha gya hai. Phir khulay hue balon ko hair curler ke zariye curl de kar baray curls ki surat mein pins ki madad se set kar liya gya hai. Aap kisi bhi party dress ke sath bila jhijhak ye andaz apna sakti hain. Bhari bharkam jawellery pehne baghair bhi aap ki shan sub se alehda dikhai de gi.
Girls Hairstyles
2.High Bun Style 2: Ye style bhi high bun style mein shumar kiya jaye ga. Is ke liye hairs ko back comb kar ke unchi poni tale banai gai hai aur phir unhain bareek laton ki surat mein curl kar ke chotay bubbles ki shakal mein pins ki madad se set kar liya gya hai. Light make up aur halki jawelery ke sath bhi ye style sub ki tawaja ka markaz sabat ho sakta hai.

3. Medium Bubble Bun Style: Joray ka ye style bhi kam o bash mazkura bala tareeqa par banaya gya hai. Lekin is mein hairs ko back comb karne ki bajaye side mein mang nikali gyi hai aur hairs ke curls, neck par set kiye gye hain. Aap ki lambi neck ki khubsurati is style mein numayan dikhai de gi.

4. Messy Bun Style: Is style mein chunkay hairs ko nafasat ke sath samait kar set karne ki bajaye, bikhray bikhray natural se andaz mein banaya jata hai. Is style ka apna aik husn hai aur ye larkiyon par zayada bhala maloon hota hai. Is ke liye neck ke pechay poni tale bana kar khuch balon ko khula chorr diya gya hai, jab ke zayada tar balon ko french knot hairstyle mein joray ki shakal di gyi hai. Khulay hue balon ko bareek curls ki surat mein sar ke uper set kiya gya hai.

5.French Twist Hairstyle:

Ye style partay dress ke sath intihai dilkash dikhai de ga. Is ke liye hairs ko halka sa back comb kar ke French Twisht ki surat mein set kiya gya hai.

6. Low Bun Hairstyle:
Ye khubsurat Low Bun Hairstyle aap kisi bhi special function ke moqa par apna kar sub se dad wasol kar sakti hain. Is ke liye uper hairs ko French Bread ki shakal mein bandha gya hai aur neck ke pechay bun bana kar isay khubsurat araishi pins ki madad se bubbles ki surat mein set kiya gya hai.