Hair Curling Tips In Urdu How To Curl Hair Without Curling Iron

Hair Curling Tips in Urdu. How to curl hair by using latest techniques in urdu/hindi.
Hair Curling Tips In Urdu: Jin khawateen ke lambe aur curly hairs hain un ko chahiye ke wo in par tawaja dain aur style apnane mein ahtyat se kaam lain, natural curly hairs ko style dena bohat mushkil hota hai aur har kisi ko pasand bhi nahin ata, in balon ko sanwarne ke liye kisi ache shampoo se wash karna intihai zaroori hai is ke baad aap hairs ko blue hair dryer ke zariye khushk karain. Agar hairs ko jald az jald shape mein lanay ke liye garma garam hawa balon par dalti hain magar us se baal khushk ho jate hain aur un mein qudarti lehrain paida nahin hotien aur youn aap ke baal apni asli shakal kho detay hain. Jin khawateen ne artificial method se ghungrale baal kar rakhay hain un ke liye zaroori hai ke wo ache conditioner ka istemal karain aisay balon ko khushk na chorain warna woh seedhay ho jayain gey. Aap ko chahiye ke hairs mein oil message karain aur aisay oil use karain jo ghazaiyat se bharpur ho.
Ghungrale baalon ke 2 tips zayada karamad sabat ho sakte hain. Aik tou ye ke shampoo ki jagah conditioning products ka zayada istemal kiya jaye aur dusre ye ke baal jub gheelay hon tabhi unhain style dene ki koshish karain kyoun ke gheelay balon mein comb karna bhi asan hota hai, phir aap curly hairs ko kon sa style dena chahain gi is ka inhsar bhi balon ke cut par ho ga. Agar baal short cut hon tou result foran samne anay lagta hai aur baal tootne lagte hain yani hairs ke cut par hai ke aap ke baal kon se cut ke hain, curly hain donon suraton mein ahtyat zaroori hai.

Second Method For Curly Hairs: Sar ki choti ke hairs ko poni tail ki shakal mein ikatha kar ke aik rubber band se bandh lain aur balon ke khuch hisay ko khula chorr dain. Poni tail mein bandhay hue hairs ko thoray balon mein taqseem kar lain. Hairs ke khulay siron ko brush kar lain takay brush sar ke sath lag jaye aur isi position mein balon ko 15 se 20 seconds tak daba kar rakhain aur ahista ahista brush mein bal diye hairs ko kholain lekin band ko na kholain jese hi aap ne poni tail kiye hue balon ko set kar liya dusre balon ko bhi isi tarah thora thora kar ke set karti rahain. Jub aap ye khatam kar chukain tou nahayat narmi se balon ko brush karain aur balon ko khulay rakh kar uper se ulta aik teh par dusri teh rakh kar brush karain agar mehsiis karain tou spray kar lain. Agar baal ghane hain tou  lambe roller istemal karain. Hairs ko curly dikhai dene ke liye gheele balon mein rollers use karain aur phir hairs ko marzi ke mutabiq banayain. Jub curly hairs set karne hon tou plastic charhay hue baby pin use karain takay hairs par pin ke nishanat na parain. Curly baal banane ke liye garam electric rod jo hairs ko curl karne ke liye istemal hote hain in se hair curl karain. Soft hairs ke liye adhi lambai tak hairs par chalayain, phir hairs ko clip lar dain. Zayada curly hairs ko aisay pin lagayein jo hairs ko khara rakh sakain.