Chukandar Benefits In Urdu Beetroot Chukandar Ke Faide Recipe

Chukandar Ke Faide: Kehne ko chukandar aik aam si sabzi hai. Ye darasal aik poday ki jar hoti hai jis ka
zaiqa meetha hota hai aur chilkay se lay kar andar ke goday tak sub ka rang red hota hai. Sabzi khane walon ke liye ye pasandeeda ghaza hai lekin is mein aur bhi bohat sare fawaid hotay hain. Khalariyon ke liye tawanai bahal karne ka ye khufiya hathyar hai, cancer se mehfooz rakhta hai aur blood pressure ki satah ko neechay lay ata hai. Chukandar ka english name Beetroot hai is mein mojood jo cheez sub se zayada faida pohanchati hai woh ghair mamoli maqdar mein shamil nitrate hain. Youn samajh lain ke har aik gram chukandar mein taqreeban itna hi nitrate hota hai. Dusri sabziyon ke muqablay mein Beetroot mein 20% zyada nitrate hota hai. Haliya jaezon mein dekha gya hai ke chukandar mein chamil nitrate blood pressure khatam karte hain.
Beetroot Benefits In Hindi Chuqandar
London ki Queen Marry University mein 2010 mein aik jaeza liya gya tha jis mein dekha gya ke rozana agar 250 ml wale aik glass mein chukandar ka juice bhar kar pee liya jaye tou kayi hours tak blood pressure kam reh sakta hai. Ye bhi dekha gya ke blood pressure jitna zayada barha hua ho, chukandar ke juice se us mein itni hi kami ajati hai.

Aik aur naya jaeza Australia mein liya gya jahan ye dekha gya ke chuqandar ka juice agar 500ml wale glass mein bhar kar piya jaye tou 6 ghantay baad blood pressure mein numayan kami ajati hai. Agar chuqandar ke ras ka istemal aam ho jaye tou bohat mumkin hai ke dil ki bimariyon ki wajah se amwaat 10% kam ho jayain gi.

Dimaghi Salahiat Barhaye: Chuqandar ka juice istemal karne se dimagh ki taraf khoon ke bahao mein asani rehti hai. Is mein folic acid ki quantity bhi kafi hoti hai.

Cancer Ka Muqabla Karne Wala: Chuqandar mein aik rang dar Betacyanin hota hai jo chuqandar ko us ki surkhi bakhshta hai. Is mein cancer ka ilaj karne ki qualities bhi payi jati hain.

Ghazai mahireen chuqandar ko nazam-e-hazam ki kharabiyan door karne mein istimal karne ki bhi sifarish karte hain. Un ka kehna hai ke chuqandar mein ghazai reshay bohat zayada hote hain. Agar 2 ya 3 chotay size ke chuqandar par mushtamil 100 gram ka aik hisa kha liya jaye tou is se rozana sifarish karda maqdar ka 10% hasil ho sakta hai. Beetroot mein aik aur cheez Betaine bhi payi jati hai jo stomach mein teezabi maadey ko mamool ke mutabiq rakhti hai.